Sunday, September 1, 2013

What is mean of shia and sunni in hindi.

What is mean of shia and sunni in hindi.

What is mean of shia and sunni in hindi? Islam ek dharm hai, islam ke usoolon ke mutabiq ye dharm jab se chala araha he jab se duniya me pehla insan paid hua.
ye dharm yani mazahb ya deen allah yani duniya banane wale malik ka hai. har dor me allah ke paigambar aye akhir me hazrat muhammad s.a.w. aye jab islam ka paigham logo ko diya gaya to jin logon ne ye paigam man liya unhe muslim kaha gaya yani farmabardar manne wale.
Islam me quran me islam ke manne walon ko sirf muslim keh kar hi pukara gaya hai............lakin bad me ek vivad paida hoa kuch cheezon ko lekar thoda bhut mad bhed hua to ek grup me hazrat ali (allah aap se razi ho) doosre me digar log the...............yahan se ............thodi bhut shooroat shiya our sunni muslim ki hone lagi ....................bad me kam ilam logon ne is vivad ko aur badha diya our kuch ne shiyane ali apne aap ko kaha jiska short form shiya aur kuch ne apne aapko sunni yani rasool salllahualhye wasalm ke tariqe par chalne wale . shiya se murad shiya logon ki ye hai ke wo shiyane ali yani ali ke chane wale hain. sunni se murad sunni logon ki ye hai ke wo sunnat yani paigambar ke tariqe par chalne wale hain. samjhdari se kam liya jaye to ye vivad bhut badha nahi he ise khatam kiya ja sakta hai.
Qur'an me Allah ne farmaya jiska matlab kuch is tarha he ke jab tum logo me jhagda ho jaye to allah our uske rasool ki tarf palto yani quran our hadess ki tarf jo aaj lkhi hui majood he,  

No comments:

Post a Comment