Monday, June 30, 2014

was sai baba a muslim - kya Saibaba Musalman the? Answer in Hindi

Was sai baba a muslim - kya Saibaba Musalman the? Answer in Hindi

Saai Baba of shirdi it mean Shirdi ke sai Baba ko lekar today India me big debate ho rahi ha, humne is topic ki reality janne ki koshish ki But surely kuch bhi nahi keh sakte because saaibaba ko lekar different views samne aarahe ha.
First A view on SaaiBaba (Saai Nath) : Wikipedia free encyclopedia ki site par di gai jankari ke mutabiq Saibaba (date of birth: unknown, Death: 15, October 1918) ko Shirdi ke saai Baba bhi kaha jata ha. Many people ke according saain Baba Bhartiya Guru (Indian Teacher), Yogi and fakir the. Saai ke bhakt it mean saai ko manne wale Saainbaba ko Saint kehte ha.
Wikipedia free encyclopedia ke according unke real name and address, mata pita (mother father) and janm (birth) ke bare me information available nahi ha. India ke Maharashtra state ke Shirdi Qasbe me jab who pahunce tab unhee “Sai” name mila.
 
Second A other different view on Sai Baba:-  Some people, log sai Baba Ko Muslim mante ha, is ka reason ye ha ke unke kai kam ak Muslaman Baba ki tarha the but is bat ko confirm koi bhi nahi karta ha.
 
Third A  different view:- SaiBaba ke bare me kuch log yeah bhi kehte ha keh who na Hindu the and nahi hi Muslim balke who ak Sufi Baba the it mean Sufism (Sufi Panth) self apne aap me alag chizz ha jinn ka koi Mazhab nahi hota. Sufi Baba bazahir Islam se prerit lagte ha but Sufiyat me kuch new aisibate paijati ha jo Islam se nahi milti ha. “Is lye yeah baat bhut had tak thik lagti ha ke sai Baba ak Sufi Baba the” but is ko bhi abhi tak koi full evidence ke sath confirm nahi kar paya ha.
 
Fourth A Different view :- kuch log shirdi ke saaibaba ko Sai Nath bhi kehte ha and in ha a Hindu saint or Hindu Awtar mante ha, But abtak in he Hindus ka 25 Awtar declare nahi kya gaya ha. Is point ko lekar Hindu Dharam ke ak Shankracharya ne objection uthaya ha ke sai Baba ki puja nahi karni chaiye kio ke saibaba Musalman the. Is bat se yeah bat maloom hoti ha keh saai baba Hindu the yeah bhi confirm nahi ha.
Saai Baba ko lekar is type ke different views paye jate ha, But in sab me ak bat Important ha who yeah ke sai Baba ka very famous slogan to yeah hi ha “Sab ka Malik ak ha” it mean in English The god is one all people (sab ka ak hi god ha.) is slogan se it is very clear ki sai baba Hindu Muslim sikh isai sab ko ak karne ki bat karte the.

Iraq ki Taza halat news ISIS Shura declared "Khilafat" But is the news real or fake?

Iraq ki Taza halat news ISIS Shura declared "Khilafat" But is the news real or fake?
Iraq ki news par latest update Times of India  ki news me bataya gaya ha ke ISISL ne apne name se Iraq and Levant Word remove kar diya ha and new name IS (Islamic state) kar diya ha, news ke mutabiq ISIS ki shura (council) ne Islamic “caliphate” jise urdu hindi me Khilafat kehte ha ke establishment (khilafat ke qyam ka aiylan) announce kiya ha.
News ke mutabiq  100 year pehe 1924 me Ottomans it mean Saltant e Usmaniya ki shakal me jo Islami khilafat khtam ho gai thi and Prophet Mohammed (s.a.w.) ne Jo Caliphate It mean KHILAFAT ka system diya tha us hi khilfat system ko lago karne ka announcement kiya ha. Is the news real or fake? I don’t know. Matlab yeah ke yeah news kitni sachchi ha is bare me abhi kuch kaha nahi ja sakta ha. But it is very important news for All World, is khabar me bataya ha ke ISIS ki Shura (council) ne Abu-Bakr AL Baghdadi ko tamam (all) world ke Musalmano ka “Khalifa” declare kiya ha.
This post last update (30 June Monday 2014)

Sunday, June 29, 2014

Chennai and Delhi Building collapses news In Hindi

Chennai and Delhi Building collapses news In Hindi

Saturday ko Chennai ke upnagri Porur ilaqe me an Under construction 11 manzila Imarat giri, is 11-storeyed Building ke collapse hone ki wajah se 50 construction worker ke malbe me dabe hone ka andesha ha. NDRF (full name in English National Disaster Response Force) ke sath other agencies milkar relief and bachaw ke kamo me lagi hui ha.
Rescue officers’ ke according kam se kam 5 logo ko bacha liya gya ha and nearby private hospital me referred kiya gaya ha.
Saturday hi ko Dlehi me bhi is tarha ka ak Dardnak hadsa hua, North Delhi ke congested aria me 50-years old 4-storeyed Building ke girne se 5 children and three woman ko milakar 10 pepole mare gaye.
This news is a lesson. It mean yeah ak sabaq ha, Building ke construction or old building dono condition me is bat ka bhi dhyan rakhna chaiye ke kahin koi accident ki condition na banjay.

Friday, June 27, 2014

Iraq news, ISISL ke thikano par Syria hawai-hamle ki news confirm In Hindi


Iraq news, ISISL ke thikano par Syria hawai-hamle ki news confirm In Hindi
Iraq news:  Iraq me work kar rahe many Indian people and Iraq war ki wajah se India par padhne wale Oil rate ke effect and share market ke down fall (lgatar girne) ki wajah se Iraq ke taza halat par specially Indian goverment and people nazar banaye huway hain.
Tuesday ki taza khabro media news ke according PM Nori Almaliki ne is news ko confirm kar diya ha ke sirya ne islamic state of iraq and sham and the Levant (ISISL) ke kai thikano par hawai Bombari (air strikes) ki ha.

Thursday, June 26, 2014

Facebook par teenage girl ki gandi photo dalne ka case a news In Hindi

Facebook par teenage girl ki gandi photo dalne ka case a news In Hindi
News: Kolkata media news according one 17 year old school girl ne Tuesday ko Khudkushi (suicide) kar liya and usne apne suicide note me Facebook friends ko is ke lye blame kiya hai.
Ibnlive English news and other media sources ke according few moths pehle hi social networking site par ladki ki accused (aropi) se friendship hui thi but jab ladki ne is boy friend ko avoid kiya to is accused ladke ne ladki ka fake profile create kiya and is girl ki photo ke sath computer se chedh-chad (editing) karke girl ke

Iraq me Saddam Hussein ko phansi dene wale judge killed by ISIS news In Hindi

Saddam Hussein ko phansi dene wale judge killed by ISIS news In Hindi

Sddam hussain ko December 2006 me fansi ki saza sunane wale judge Raouf Abdul Rahman ko pichle dino ISIS militants group ne capture kar liya tah and ab media news ke according  yeah khabar aarahi ha ke Sddam Hussein ko hanging decision (phansi ki saza) dene wale judge ka mar diya gaya ha (it mean kill kar diya gaya ha). But yeah news abhi iraqi Government ke throw confirm nai ki gai ha.
latest update news I mean taza khabro ke mutabiq Iraq ke PM Noori Al-Maliki ne shia and sunni ki mili-juli government banane ki bat ko manne se inakr kardiya ha. PM noori al malkiki ne is tarha ki mang ko "constitution ke against takhtaplat and secularism ko challenge" krar diya ha.
America ke foreign minister john Kerry ne Iraq dore ke doran Iraq ke political leaders se miljul kar kam karne ki appeal ki ha. BBC Hindi, Urdu news ki ak khbar ke mutabiq 300 American army ki advisory team me se adhe log Iraq phunc gaye hain.
Iraq me Aghwah 39 Indian people ke bare me ab tak koi khas khabar samne nahi aai ha Indian government ne phir yahi kaha ha keh Sabhi Bharti Iraq me Surkshit (safe) hain.

Tuesday, June 24, 2014

Brazil ne kemrun ko harya and last 16 me dakhil News in Hindi

Brazil ne kemrun ko harya and last 16 me dakhil News in Hindi

Brasiliya agency and google news ke throw Hindustan times ki news Update ke mutabiq FIFA Football match 2014, Nemar ke do goal ki help se kemrun ko 4-1 se harakar  Brazil Group A me top par bane rahte huway pre quarter final me seat le li ha.
Pre quarter final me Brazil ko chili ka samna karna hoga. Brasilon ke forward Nemar ne Brazil ke is 100th  world cup final me 17th minute me goal dagha, yeah goal is football tournament  ka 100th goal ha.
Joil matip ne iske baad kaimrun ko brabari dilai but Nemar inter se pehle 1 goal Daghkar apni team ko phir badht dila kar ak best and important goal kya.
Is tarha FIFA 2014 ka log bhrpur lutf le rahe ha. Koi age and koi peeche ke is game me viewers ko kafi maza araha ha girls ho boys ho or women and man sab ke sab bade hi intrest se football ka yah match dekh rah ha.
FIFA 2014 me ak important bat Asia ke lye yeah ha ke is year FIFA me use Football pakistan me made ki gai ha, Pakistan ki ak company ne is ko special made kiya ha and is ke better result arahe ha.
Football me match world ka ak aisa game ha jise many people like karte ha, football game ko lekar diwangi dekhne laik hoti ha. FIFA 2014 football game ko lekar world level par kafi josh dekha ja raha ha.

Monday, June 23, 2014

ISIS Sunni militants ne our ilaqo par qabza kiya Iraq news in Hindi

ISIS Sunni militants ne our ilaqo par qabza kiya Iraq news in Hindi

Iraq country ka bade prant Anbar ki tin chokiyo par ISIS ke ladako ka kabza ho gaya ha. Tal Afar kasbe me Ak Air base par bhi militants ka qabza ho gaya ha.
BBC Hindi news ke mtabiq pichle tow days me Sunni dabdbe wale Anbar prant me militants ne Sirya ki border se lage Qaim, Rutba, Rawa and Anah kasbo par attack kar inhe apne control me le lya ha.
Mana ja raha tha ke Baghdad se 60-70 km door ISIS ke ladke stop ho chuke the but abhi milne wali news se laga raha ha ke ISIS ne phir apni jang tez kardi ha.
Internet par mojud many news se yeah hi pata chal raha ha ke Sunni muslim ke is militant group ISIS ko Iraqi forces ke muqable lagatar kamyabi mil rahi ha.
Expert ka analysis Iraq ke taza halat ko lekar yeah ha ke America ke jane ke bad jis government ka kyam huwa us me Sunni Muslim ko ignore kiya gaya is condition me Islamic state of Iraq and sham ko benefit mila and is group ne Iraq ke kai shehro ko asani se apne qabze me le lya.
Taza khabro ke mutabiq Iraq ne ak bar phir America se Hawai Hamle ki zarurat par zor diya ha because Iraqi fauj ISIS ke ladako ka samna nahi kar pa rahi ha.
Hindustan se kaam karne gaye kai log Iraq me abtak phanse huway ha and 39 Hindustani worker ko abtak government choda ne me kamyab nahi ho saki ha. Indian government ka kehna ha ke woh continue aghwa Indians se contact me ha.do not worry.

Sunday, June 22, 2014

Mahangai ki maar rail rent me badhotri news in India blog



Mahangai ki maar rail rent me badhotri news in India blog

Achche din ane Wale hain ka slogan dene wlai BJP Government Ne logo ki ummid par pani pherte huway Bure din aane ka signal de diya ha. Rail Rent increase karene ke bad her political party apni roti sekhne memashghool ho gai ha.
Idhar Iraq crisis ke bad yeah bat tay hogai ha. ke world level par Oil ke dam me badhotri nazar aarahi ha and Iraq ke crisis ka sidha effect Hindustan par bhi padhne wala ha is condition me Mahnagai me aur izafa hona tay ha.
Government chalana and only comment karna tow different path ha. BJP ke ane ke bad kya mahnagi par control kya ja sakta ha? is question ke bare me many expert yeah kahte ha ke aisa kuch hone wala nahi ha sab kuch itna easy nahi ha jaisa btaya ja rah ha.
Bjp apne is decision ko Congress par thop rahi ha and congress BJP par blame kar rah ha. But yeah jo kuch ho raha ha Aam admi ke lye bad and bura hi ha.
This is very effective decision, this decision effect some other field like food rate, onion rate and every export import thing etc.   

Friday, June 20, 2014

Iraq taza khabar: forty Agwah me se ak Indian bachkar nikla news in Hindi

Iraq taza khabar: forty Agwah me se ak Indian bachkar nikla news in Hindi

40 agwah Indian ke bare me latest news yeah ha Ibnlive.in.com Hindi website ne English newspaper Hindustan Times ke hawale se bataya ha keh jin forty Indian workers ko iraq ke Mosul city me Aghwah kiya gaya tha un me se ak Bharti choot kar nikal aaya ha. agwah kiye forty Indians me se one Indian worker ka militants ke chungal se safe bahar ajane se baqi apharat Hindustani ke safe and surkshit bahar aane ke chance badh gaye ha.
News ke mutabiq yeah shakhs Indian officers ke contact me ha. Iraqi red crescent ke president Dr. Yaseen Abbas ke mutabiq yeah person un 40 Indians me se ak ha jinhe militants ne aghwa kya tha. But is khabar ki abtak Indian government ne tasdiq nahi ki (not confirm) ha.
Iraq se aai is news se un logo ke gharalo ko kafi rahat mehsoos ho rahi hogi jin ke apne Iraq war ke reason se iraq ki different cities me phanse huway ha and ummid yeah hi ha ke all Indian people safely apne home and town aajaye.

Thursday, June 19, 2014

Iraq ki taza Halat Zimeedar kon? News In Hindi Urdu post

Iraq ki taza Halat Zimeedar kon? News In Hindi Urdu post

World level par peas Aman qayam karne ke name par America and Britain ne Jab Iraq par  Hamla kiya tab Saddam Husain ki Hukumat iraq me qayam thi is doran iraq ke halat itne bure nahi the ke world level par log is se preshan ho but jab America and Britain forces ne Irak par attack kya and use destroy kardene ke baad waha secularism kayam kiya tab se ab tak Iraq ke halat day by day khrab hote ja rahi ha. America ne jin Islamic militants ko daba na chaha tha who aur bhi zyada mazboot hokar samne aarahe he. Today Iraq ki jo condition he agar is ko khrab mana jaye to is k zimmedari (responsibility) America and Britain aur us ke helpers ki hi ha.
Today Iraq me ISISL or ISIS jo ke Sunni Islamic group ha ne 10 se zyada cities par apna qabza kar Islamic state (Shariya Qanoon) lago karne ka Ailaan kardiya ha. ......>>

Iraq ki news 40 Indians kidnapped in Mosul post In Hindi, Urdu

Iraq ki news 40 Indians kidnapped in Mosul post In Hindi, Urdu

External Affairs ministry spokesperson Sayyed Akbaruddin ke zariye press conference me yeah confirm kar dene ke bad ke “ Iraq ki city Mosul me ak construction company Tariq Al-Noor Al-huda me work kanre wale bharti, forty Indians people kidnapped matalb 40 Indians ka aphard (kidnap) ho gaya ha.” But abtak inka koi pata nahi chalpaya ha ke akhir yeah Indian worker ha kahan and kis condition me hain?
Kidnap kiye gaye Indian people me zyadatar log punjab and Kerala ke rehne wale he. Indian news channel par Iraq ki latest news, videos and photos dekhne se andaza lagaya ja sakta ha ke yeah Indians kin halat ka samna kar rahe he.
BBC urud ke mutabiq ak other question ka answer dete huway wazarat kharja ke tarjuman (videsh mantalay ke prwakta) ne bataya k ak other city Tikrit me 46 Indian nurse safe he and inhe koi khatra nahi ha. news ke according in me se kuch nurses ne wapas India ane se inkar kar diya ha and who apna job continue karna chati he.
Iraq me different cites and companies me India ke taqriban 10000 (ten thousand) worker work karte ha.
Taja samachar (latest news) yeha bhi ha ke Iraq ne baqaida America se Iram k sunni militant group ke qabze wale ilaqo par hawai hamle karne ka mutalba (agrah) kya ha. is condition me Indian workers ki family ki tensions badh sakti ha. But don’t worry Indian government in ki rihai ke lye koshish kar rahi ha.

(update Blog this post last time 19 June 2014)

Wednesday, June 18, 2014

Iraq ki taza news in Hindi, Urdu last update 18, June wed, 2014


Iraq ki taza news in Hindi, Urdu last update 18, June wed, 2014

Isis militants ko rokne me nakam hue 4 army commanders ko suspend (barkhast) kar diya gaya ha. yeah taja latest update BBC Urdu website par digai ha, BBC Urdu ke mutabiq Iraq ke PM Noori almalki ne in 4 army commanders ko suspend kardiya ha. news yeah bhi ha ke sunni militants ke sath fouj ki zabardast fight ho rahi ha and militants Baghdad ke karib badhte ja rahe ha.
Sunni militants ne Monday ki night baqobah city ke kuch ilaqo par qabza kar liyat ha but bad me iraqi army ka ke mutabiq unhe ne waps is city Baqobah ko hasil kar lya ha.
News yeah bhi ha ke ISISl (islamic state of iraq and the levant) Bagdhad ke qreeb badh rahe hain and idher America ne apne Baghdad me maujood Dutawas (embassy) ki security k lye  275 soldiers bhejne ka announcement kia ha.
Khabro ke according ISIS ne mosool, tikrit ke sath takriban 10 cities par qabza kar liya ha but Iraqi forces ka dawa yeah bhi ha ke usne in me se some cities ko phir se apne qabze me le lya ha.
Indian news channel par news me bataya ja raha ha ke agar Iraq ke halat aur bigadh te ha to oil ke rate (tel ke damo) me kafi izafa ho sakta ha and India me mahngai aur bhi zyada ho sakti ha.

Tuesday, June 17, 2014

Shia and sunni? in Hindi in urdu new post

Disclaimer : Our aim is not to hurt anyone. check by yourself about article or Information. May be possible Grammatical errors, read carefully.
Sunni ak Arabic word ha jise ke dictionary meaning “sunnat par amal karne wale” ha. Sunnat ka meaning “prophet Hazrat Muhammad S.a.w. ka tariqa” hai.  Muhammad s.a.w. ne apni life me jo work, kaam jin-jin tariqo se kya ha who “sunnat”  kehlate he. Is tarha sunni muslim ka matlab hota ha prophet Muhammad sahab (slamti ho aap par) ke tarike ko apna ne wale.
Actual me quraan me Muslim ko only Muslim ka name hi diyagaya ha. Sunni or Shia group baad me bane ha. Islam ke starting dor me Muslim ka only one group tha jo only “Muslim” or “musalman” kehlata tha but some years ke bad kuch maslo (issue) me Muslims me ikhtlaf (dispute) ho gaye and is ikhtlaf ko yahoodiyo and others ne hawa di is ke bad Sunni and shia giroh, group me Muslim bat gaye.

What is difference between shia and sunni muslim? Answer in Hindi in urdu

(It is only informational post)
Shiya and sunni me kya farq ha is ka answer her koi different deta ha. But some people opinion yeah ha k shiya and sunni me jab matbhed (dispute) hua to shiya hazrat kuch SAHABA (Muhammad S.a.w. ke sathiyo) ko bura kehte ha but sunni all sahaba ko respect dete ha. Yeah ak point he jo shiya and sunni me farq batata ha. (aisa sunni muslim ka manna ha)

But hum shia and sunni dono ko fully wrong nahi keh skat jab tak ki dono me se kisi se hum koi bat Islam ke quran ke and hadis ke khilaf (against) saf-saf na sunle. I mean suni sunai bato par yaqeen kar ke kisi ko bhi wrong (ghalat) nahi kehna chaiye allah ki book quran me is bat se mana kia gaya ha keh bina tahqiq (search, check) kiye kisi ko ghalat na mana jaye.

Monday, June 16, 2014

Iraq ki Latest condition and India In Hindi Urdu 16 June 2014

Sunni militants group Islamic state of Iraq ke badhte qadam se india me oil, diesel and petrol ke rate high ho sakte ha. Share market me bhi iraq ki latest news ke bad some down dekha ja raha ha.
iraq ho ya koi aur arab country world level me in me koi bhi change agar ata ha to is ke asrat all over world me nazar zarur ata ha.
iraq me America ke 2003 me saddam hussain ke against war ke bad badli condition ke bad sunni militants aur mazbut hokar samne aaye ha latest halat me America ka sabse bada role ha it mean America ki jang ke bad today Iraq ke kuch shehar (cities) sunni militants group Islamic state of Iraq ke qabze me aagaye ha aise me India ke lye yeah news better nahi ha.
mahnagai our increase hogi because iraq fuel ka ak bada source ha. Iraq ki latest position agar aur kharahb hoti ha to neighbor country hone ki wajah se India par big effect pad sakta ha fuel yani petrol diesel ko lekar and share market me girawat asakti ha.

America ne apne benefit ke lye Iraq me war ki and but is ke bad effect ko neighbor countries ko hi jhailna padega, Iraq me agar kuch achcha hota ha to thik but agar koi bad condition banti ha to other padosi ko mushkilat ka samna karna pad sakta ha. today latest new June 2014 ki yeah ha keh Sunni militants group Islamic state of Iraq ke baghdad ki taraf peshqadmi abhi stop ha age kya ho ga at present kehna possible nahi ha. 

Wednesday, June 11, 2014

Mandi tragedy News and live Video link In Hindi, Urdu post



Mandi tragedy News and live Video link In Hindi, Urdu post
Hyderabad engineering college ke 24 students ka Dardnak Video umarujala.com ne jari kya ha. Himachal Pradesh mandi district ke larji Dam se achanak large quantity me paani choda gaya jiski wajah se college ke students jo tour par yaha aaye hue the and banks of river, nadi ke dam ki pictures and photos le rahe the tabhi bina kisi information ke huge, large quantity me dam me pani choddiya gaya. Is Khofnak hadse ka video ak shaks ne camera me qaid kar liya. Is video me girls and boys zor zor se awaz de kar students ko nadi se bahar nikalne ke lye pukar rahe the but yeah sab itna jald ho gaya ke students kuch samajh hi na paye and yeah tragedy ho gai. Mandi tragedy, hadse ka video umarujala ne upload kiya ha. is video ko many news channels ne download kar ke dikhaya ha.



Yeah tragedy ak sabaq (lesson ) ha, young girls and boys jo ke honhar Students the in ka khojana, loss hona ak big loss ha. old news se patachalta ha keh yeah first time nahi hua ha is se pehle bhi many time is type ki tragedy ho chuki ha. But ab to eyes open ho jana chaiye and is issue par sensitive ho jana chaiye.